Age : 23
Designation : composer
Mera naam Hafeez-ur-Rehman hai, piyar se mje Guddu kahtey hen, mai apne bhayon mai 8 number pe hon 7 bhai mjhse bare hen ek chhuta hai, Mera janam 13March 1984 Distt: shikarpur mai hova. Meney primary sadder school shikarpur se ki, our secondary mney high school No: 1 shikarpur mai ki, phir medical collage mai admission li unfortunately mai fail hogya inter nhi krsaka, phir inter clear krne k lye Garhi yasin k Aga Badrudin college mai Admission li wahan se mney Inter Arts clear ki,B.A mney shah Abdul Latif university mai ki, M.A bhi Shah Abdul Latif mai ki hovi hai, agay kia feature hai khud bhi maloom nhi. Mai apne bhayon se buhat piyar krta hon. Wase to hum sub bhayon mai buhat piyar hai is lye to abhi tak sath mai rehten hen kabhi agr apse mai larai bhi hojae to jaldi mai maan jante hen kafi der tak ek dosre se nhi door rahete sachi, maney yar bachpan mai Sher se buhat lariyan ki hen is k badle mai mney baba se buhat mar bhi khaen hen. Our maney apne bhai chhote Amjad ko bhi maney buhat mar di hai us k badle mai maney mar nhi khaen hen kyu k wo chhota hai is lye our wo galtya bhi buhat karta tha our bare bhi mje kuch nhi kahte thay.’’’’’
M.A (Master of Arts) ki Degree Hasal krne mai ktni mushkil created hovi hai mje hi maloom hai, SHUKHIR-UL-HAMDULLLAH hasal to hovi, abhi bi mje yad hai wo din jo pahli bar mney galti ki thi Matric ke exam mai, seat No: mney galti se dosre ki entry krwai thi, jb result announce hova to pata chala k tum sbhi subjects mai Absent ho, ye sunker mere paon tale zameen niklgae our guse mai mney wahan k Exam branch k Incharge (Sain Allah Dino) ko gali dedi, bad mai pata chala k mera seat No: asl mai dosra hai meri hi galti thi, Phir maney Mama Nazir ko sub batya k ye chakr hogya hai mere sath June k maheney mai our oper se sakht garmyan Mama our Mai idher udher chakr lagna use office se hoker use office mai jana taqreebin asa ek hafta chalta rha, agr Mama Nazir sath nhi deta to wo saal mere hath se nikl gya hota mai Mama ka buht Ahsan mand ho jo kabhi bhi nhi utar skta kbhi bhi nhi. Mama ki waj se mera saal bach gaya our mje pass krwadya, thank you Mama ilu Mama ji. Phir mje Inter mai fail hona para yaron kyu k us dino Pervaiz Mushraf ki Hukomat thi buht sukhtiya thi naqal na krne ki ajzat thi, is wajh se fail hogya tha, ap kya smje rhe ho M.A ki degree saf parahi se hasl hovi hai, nhi yaron naqal krk ke hasal hovi hai ever is ever, that is ture yar.
Yaro ek bat to batao kon nhi naqal krk pass hova hai, asa koi hai nhi banda jo naqal nhi krk pass hova. Subhai naqal krk pass hoven hen ya vary safarsh se, hum ne naqal ki to kon sa gunha kya. Yar mai such bolne walon mai se hon menay khoob naqal krk M.A ki degree hasal ki hai jise ukharna hai ukhare mje koi fark nhi parta yahi sach hai. Mera bachpan kese guzra wo mai hi janta hon kabhi kushi mili to kabhi gum ye har kis ki zindagi mai hota hai leken mai subse alg hon ye mera Allah hi janta hai, gum kahbi kis roop mai to kabhi kis roop mai kabhi family ki fikar mai gum hota hai to kabhi uska gam hota hai, uska mtilb (A) jo meri JAAN meri DIL hai meri Zindagi hai mera sub kuch hai DEEN EMAAN ABADAT sub wo hai, lekin wo hai k maanti hi nhi kese use yakeen dilon be reham hai wo, bachpan se Mohabat krta aya use se ,mje bhi pata nhi chala k mai use se itni Mohabat krta hon. Jab wo ati thi to sub dost bhool jata tha srf unke sath hota tha ek pal k lye bhi use se door nhi hota tha wo din jab yad ate hen to ankh bhar ati hai sach. Asa lagta tha k mere lye use bejha hai Rab ne lekin ye nhi jante mere our unke aziz, jes jes bare hote gaye wase wase unse door hote gaye, phir kia sekro meelon hen fasile darmyan kese milen unse roz b roz. Kabhi shadi muradi pe milte they to kbhi Eid pe, na jane kitne saalo bad phir unki jhalk dekhne ko mili 2002 mere bhai Sher & Saeed ki shadi pe evening time sky color ke kapare pahne hove safaid doputa urhe hove hath mai pani ka glass lye hove, use pata hi nhi k usko koi deekh rha hai mai chhat pe khara decoration ki lighten utrwa rha tha asl mai unko dekhne k bahane lighten utar rha tha, dekhte hi dekhte wo chale gaye hamare ghar se na usne bat krni ki koshish ki na hi mje se hamat hovi k salam dua kron, 3 saal bad 2005 mai Bha Qasim ki shadi doran phir unka deedar naseeb hova kaale kapron mai char paie pe bethey hove, yar is waqt mera mood off tha, bha Zulifi se mar khaie hovi thi, is waj se phir bat na ho paie, meri kismat hi itni kharab thi k kia baton, ap sochte honge saalo bad miltey thay to itne saal kahan rehtey thay, kia yar kese miltay wo wahan mai yahan wo pardesi thi na yar, bas yar milne ko dil buht krta tha unse lekin buht bebes tha, Qudrat ka bhi khel nirala hai Rab mje pe phir mahrban hone laga neya neya mobile ana hamre shikarpur mai mobile pe unse rabta hogya,2007 dec, azizon ki shadi pe unka ana our Bhutto sahiba ka shaheed hone ka month uska yahan hona our mera khoob trah se unka dekh pana, mai badminton khel rha tha k unka mere ghar pe ana our bas kia baton yar shairi to ati nhi kash shaeir hota to shairi mai likh kr sunta ap logon ko, phir itfak se uska cell No: milna phir kia agey baton uski dil mai itna rehita hon yakeen nhi ho rha hai, phir lagatar 2 mahney tak piyar bhari baten chali mobile zarye, be intiha mohabat thi hamare bech Rab hi janata hai k hum ek dosre se kitni Mohabat krte hen, mai yakeen se kah sakta hon k mai jitna chahta hon usko wo mje chahti mjese bhi ziyada mjiko, phir kia hova achank unke bap ka phone aya meri cell pe our kahne laga Jo Tu Chahta Hai Wo Kabhi Misla Hal Nhi Hoskta, mai kia kahta chup chap sunta rha,Jis bat se dar rha tha wo hi hovi, lumbi judai ab tu bas Allah ka hai Asra kab milen unse Rab hi janta hai, Abhi mai Composing & Pco chala rha hon.
To be continue…
36-Kuch nahe hora.han garmi agae he.aj ap se bat nhe ho pay gi.neand ari he.blance b nhe ok.
No comments:
Post a Comment